phir talash-e-rahat mein dard ka payam aaya
phir talāsh-e-rāhat meñ dard kā payām aayā
ham jahāñ se guzre the phir vahī maqām aayā
tere ġham kī rāhoñ meñ vo bhī ik maqām aayā
maut kī tamannā thī maut kā salām aayā
shab guzārne vaalo hāsil-e-sahar kyā thā
ik payām-e-bedārī vo bhī nā-tamām aayā
yuuñ uruuj par aa.ī dāstāñ mohabbat kī
dil kā zikr chheḌā thā lab pe un kā naam aayā
ham hī rah ga.e pyāse varna bazm-e-sāqī meñ
jis taraf na thā koī us taraf bhī jaam aayā
rafta rafta yaad un kī ban ga.ī ġham-e-duniyā
zindagī kā sarmāya zindagī ke kaam aayā
fasl-e-gul mubārak ho ye bhī dekhte rahiye
kis ne toḌ dī zanjīr kaun zer-e-dām aayā
mere jaam se 'shāhid' mai kabhī na chhalkī thī
mai-kashoñ kī mahfil meñ kaun tishna-kām aayā
phir talash-e-rahat mein dard ka payam aaya
hum jahan se guzre the phir wahi maqam aaya
tere gham ki rahon mein wo bhi ek maqam aaya
maut ki tamanna thi maut ka salam aaya
shab guzarne walo hasil-e-sahar kya tha
ek payam-e-bedari wo bhi na-tamam aaya
yun uruj par aai dastan mohabbat ki
dil ka zikr chheDa tha lab pe un ka nam aaya
hum hi rah gae pyase warna bazm-e-saqi mein
jis taraf na tha koi us taraf bhi jam aaya
rafta rafta yaad un ki ban gai gham-e-duniya
zindagi ka sarmaya zindagi ke kaam aaya
fasl-e-gul mubarak ho ye bhi dekhte rahiye
kis ne toD di zanjir kaun zer-e-dam aaya
mere jam se 'shahid' mai kabhi na chhalki thi
mai-kashon ki mahfil mein kaun tishna-kaam aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.