phir taqaza hai ki tajdid-e-wafa ho jae
phir taqāzā hai ki tajdīd-e-vafā ho jaa.e
ḳhūn-e-dil nazr karo farz adā ho jaa.e
ham haiñ sarshār-e-mohabbat na shikāyat na gila
aap ko uzr hai to uzr-e-jafā ho jaa.e
tishna-lab koī na rah jaa.e tirī mahfil meñ
jashn hai aaj to rindoñ kā bhalā ho jaa.e
terā mai-ḳhāna salāmat rahe ābād rahe
sāqiyā ham ko bhī ik jaam atā ho jaa.e
sust-gāmī se nahīñ tab-e-ravāñ ko nisbat
jāda-e-shauq pe aa.e to havā ho jaa.e
yuuñ taḌap ai dil-e-betāb ki dhaḌkan se tirī
barq-raftār zamāne kī fazā ho jaa.e
zālimo soch lo anjām-e-sitam kyā hogā
aaj kā din hī agar roz-e-jazā ho jaa.e
ahl-e-dil kaif-e-mohabbat hai usī ke dam se
dard-e-dil aur sivā aur sivā ho jaa.e
mai-kasho aao chalo shaiḳh-o-barahman se mileñ
raat kā pichhlā pahar sarf-e-duā ho jaa.e
sub.h ho jaa.e to manzil kī taraf tez qadam
is qadar tez ki shal bāñg-e-darā ho jaa.e
raah meñ dair-o-haram aa.eñ to sajda kar lo
shāyad is tarah ġharīboñ kā ḳhudā ho jaa.e
phir taqaza hai ki tajdid-e-wafa ho jae
KHun-e-dil nazr karo farz ada ho jae
hum hain sarshaar-e-mohabbat na shikayat na gila
aap ko uzr hai to uzr-e-jafa ho jae
tishna-lab koi na rah jae teri mahfil mein
jashn hai aaj to rindon ka bhala ho jae
tera mai-KHana salamat rahe aabaad rahe
saqiya hum ko bhi ek jam ata ho jae
sust-gami se nahin tab-e-rawan ko nisbat
jada-e-shauq pe aae to hawa ho jae
yun taDap ai dil-e-betab ki dhaDkan se teri
barq-raftar zamane ki faza ho jae
zalimo soch lo anjam-e-sitam kya hoga
aaj ka din hi agar roz-e-jaza ho jae
ahl-e-dil kaif-e-mohabbat hai usi ke dam se
dard-e-dil aur siwa aur siwa ho jae
mai-kasho aao chalo shaiKH-o-barahman se milen
raat ka pichhla pahar sarf-e-dua ho jae
subh ho jae to manzil ki taraf tez qadam
is qadar tez ki shal bang-e-dara ho jae
rah mein dair-o-haram aaen to sajda kar lo
shayad is tarah gharibon ka KHuda ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.