phir tere aastan pe le aai
phir tire āstāñ pe le aa.ī
khīñch kar lazzat-e-jabīñ-sā.ī
pesh-o-pas ko bahā.e jaatā hai
terā sailāb-e-rang-o-ra.anā.ī
koī bekas duā.eñ detā hai
vo tirī pursish-o-pazīrā.ī
phir se betāb hai dil-e-shaidā
kisī bhūle hue kī yaad aa.ī
ek parda hai ḳhud-farebī kā
ye mirā zauq-e-naġhma-pairā.ī
matla.a-e-sub.h-e-nau-bahār bane
us mujassam hayā kī paidā.ī
nazar ehsās-e-husn se maḳhmūr
lāl-e-ḳhush-āb meñ masīhā.ī
dīdanī hai adā-e-mahbūbī
saare andāz haiñ zuleḳhā.ī
āfat-e-aql-o-hosh hai 'ḳhālid'
us parī-rū kā husn-e-sahrā.ī
phir tere aastan pe le aai
khinch kar lazzat-e-jabin-sai
pesh-o-pas ko bahae jata hai
tera sailab-e-rang-o-ranai
koi bekas duaen deta hai
wo teri pursish-o-pazirai
phir se betab hai dil-e-shaida
kisi bhule hue ki yaad aai
ek parda hai KHud-farebi ka
ye mera zauq-e-naghma-pairai
matla-e-subh-e-nau-bahaar bane
us mujassam haya ki paidai
nazar ehsas-e-husn se maKHmur
lal-e-KHush-ab mein masihai
didani hai ada-e-mahbubi
sare andaz hain zuleKHai
aafat-e-aql-o-hosh hai 'KHalid'
us pari-ru ka husn-e-sahrai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.