phir uge ek aaftab naya
phir uge ek āftāb nayā
aur phūloñ pe ho shabāb nayā
likkhūñ is tarah dāstān-e-jahāñ
goyā har ik varaq ho baab nayā
saaf kar jo bhī the gunāhoñ ko
ai ḳhudā mujh se le hisāb nayā
us kī sūrat kā jab ḳhayāl aayā
dil meñ utrā hai māhtāb nayā
us ne mujh se ajab savāl kiyā
thā mirā bhī koī javāb nayā
jis ko ham āb-jū samajhte the
sāmne thā vahī sarāb nayā
merī hastī hai kyā 'nasīm' aisī
jaise ho kāñch kā habāb nayā
phir uge ek aaftab naya
aur phulon pe ho shabab naya
likkhun is tarah dastan-e-jahan
goya har ek waraq ho bab naya
saf kar jo bhi the gunahon ko
ai KHuda mujh se le hisab naya
us ki surat ka jab KHayal aaya
dil mein utra hai mahtab naya
us ne mujh se ajab sawal kiya
tha mera bhi koi jawab naya
jis ko hum aab-ju samajhte the
samne tha wahi sarab naya
meri hasti hai kya 'nasim' aisi
jaise ho kanch ka habab naya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.