phir un ko arz-e-gham pe hansi aa rahi hai aaj
phir un ko arz-e-ġham pe hañsī aa rahī hai aaj
duniyā mire sukūñ kī luTī jā rahī hai aaj
zabt-e-havas kī ḳhair ho kyoñ tab.a-e-nā-murād
phir vaz-e-ehtiyāt se ghabrā rahī hai aaj
banda-navāziyoñ kī ḳhalish tab.a-e-nāz ko
phir ḳhidmat-e-niyāz pe uksā rahī hai aaj
allah re ro.ab-e-husn ki bazm-e-nashāt meñ
har shai lab-e-ḳhamosh banī jā rahī hai aaj
us paikar-e-shabāb ki naḳhvat-bharī nazar
har da.avā-e-sabāt ko Thukrā rahī hai aaj
'sāhir' na jaane kyā ho ab anjām-e-zabt-e-shauq
phir yaad un kī dard ko taḌpā rahī hai aaj
phir un ko arz-e-gham pe hansi aa rahi hai aaj
duniya mere sukun ki luTi ja rahi hai aaj
zabt-e-hawas ki KHair ho kyon taba-e-na-murad
phir waz-e-ehtiyat se ghabra rahi hai aaj
banda-nawaziyon ki KHalish taba-e-naz ko
phir KHidmat-e-niyaz pe uksa rahi hai aaj
allah re roab-e-husn ki bazm-e-nashat mein
har shai lab-e-KHamosh bani ja rahi hai aaj
us paikar-e-shabab ki naKHwat-bhari nazar
har dawa-e-sabaat ko Thukra rahi hai aaj
'sahir' na jaane kya ho ab anjam-e-zabt-e-shauq
phir yaad un ki dard ko taDpa rahi hai aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.