phir uske baad badan tha na jaan jaan mein thi
phir uske baad badan tha na jaan jaan mein thi
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
phir us ke ba.ad badan thā na jaan jaan meñ thī
ajab chaḌhā.ī mirī umr kī Dhalān meñ thī
tumhārā aks mire āñsuoñ meñ raushan thā
tumhārī shakl bhī har vaqt mere dhyān meñ thī
tamām umr gañvā dī talāsh meñ us kī
jo ek shai na mirī thī na is jahān meñ thī
mujhe bayān bhī kartī thiiñ dūsrī āñkheñ
mirī zabān bhī shāyad kisī zabān meñ thī
vo DhūñDhtā thā jahāñ par vahāñ nahīñ thā maiñ
mirī kahānī kisī aur dāstān meñ thī
tanāb-e-ishq tire haath hī se chhūTī hai
tū ek umr se mashġhūl khīñch-tān meñ thī
hamāre pairoñ se khiskī huī zamīñ 'fayyāz'
utaar laa.e use ham jo āsmān meñ thī
phir us ke baad badan tha na jaan jaan mein thi
ajab chaDhai meri umr ki Dhalan mein thi
tumhaara aks mere aansuon mein raushan tha
tumhaari shakl bhi har waqt mere dhyan mein thi
tamam umr ganwa di talash mein us ki
jo ek shai na meri thi na is jahan mein thi
mujhe bayan bhi karti thin dusri aankhen
meri zaban bhi shayad kisi zaban mein thi
wo DhunDhta tha jahan par wahan nahin tha main
meri kahani kisi aur dastan mein thi
tanab-e-ishq tere hath hi se chhuTi hai
tu ek umr se mashghul khinch-tan mein thi
hamare pairon se khiski hui zamin 'fayyaz'
utar lae use hum jo aasman mein thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.