phir uske sine mein dil hi nahin jigar hi nahin
phir us ke siine meñ dil hī nahīñ jigar hī nahīñ
jo us ke husn kā shaidā nahīñ bashar hī nahīñ
duā meñ pahle sā ma.arūf ab asar hī nahīñ nahīñ
havā kā ruḳh jo badal de vo chashm-e-tar hī nahīñ
jo dekhnā ho use chashm-e-dil ko khol ke dekh
ki us ke kūche meñ to aql kā guzar hī nahīñ
sunā ke hāl-e-ġham-e-dil jise sukūn mile
koī shanāsā mirā itnā mo'atabar hī nahīñ
maiñ pur-umīd rahā ma.arka koī bhī rahā
magar ye raat ki jis kī koī sahar hī nahīñ
junūn-e-shauq ne zād-e-safar bhī chhīn liyā
hameñ phirāyā faqat is ne dar-ba-dar hī nahīñ
kuchh is tarah se hameñ muflisī ne qaid kiyā
ki ab badan pe taḳhayyul ke bāl-o-par hī nahīñ
ḳhushā-nasīb ki ham ko kuchh aise dost mile
vafā kā jin ke diloñ se koī guzar hī nahīñ
phir us ke sine mein dil hi nahin jigar hi nahin
jo us ke husn ka shaida nahin bashar hi nahin
dua mein pahle sa maruf ab asar hi nahin nahin
hawa ka ruKH jo badal de wo chashm-e-tar hi nahin
jo dekhna ho use chashm-e-dil ko khol ke dekh
ki us ke kuche mein to aql ka guzar hi nahin
suna ke haal-e-gham-e-dil jise sukun mile
koi shanasa mera itna mo'atabar hi nahin
main pur-umid raha marka koi bhi raha
magar ye raat ki jis ki koi sahar hi nahin
junun-e-shauq ne zad-e-safar bhi chhin liya
hamein phiraya faqat is ne dar-ba-dar hi nahin
kuchh is tarah se hamein muflisi ne qaid kiya
ki ab badan pe taKHayyul ke baal-o-par hi nahin
KHusha-nasib ki hum ko kuchh aise dost mile
wafa ka jin ke dilon se koi guzar hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.