phir us pal ko khoj raha hun
phir us pal ko khoj rahā huuñ
jis meñ terā qurb milā thā
manzil kī parvā thī kis ko
rasta tere saath kaTā thā
us kī āñkheñ yaad thiiñ mujh ko
naam magar maiñ bhuul gayā thā
tere laboñ kī baat chalī thī
maiñ ne phuul ko chuum liyā thā
terī yaad kā in āñkhoñ meñ
ik chashma sā phuuT rahā thā
aañsū ban kar girtā 'arshad'
tū ne us ko thaam liyā thā
phir us pal ko khoj raha hun
jis mein tera qurb mila tha
manzil ki parwa thi kis ko
rasta tere sath kaTa tha
us ki aankhen yaad thin mujh ko
nam magar main bhul gaya tha
tere labon ki baat chali thi
main ne phul ko chum liya tha
teri yaad ka in aankhon mein
ek chashma sa phuT raha tha
aansu ban kar girta 'arshad'
tu ne us ko tham liya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.