phir use DhunDne niklin meri bekal aankhen
phir use DhūñDne niklīñ mirī bekal āñkheñ
jaane kis moḌ pe jā kar hoñ mukammal āñkheñ
us ne jo baat chhupā.ī hai zamāne-bhar se
ab vahī baat sunātī haiñ vo pāgal āñkheñ
un meñ kuchh ḳhvāb the aur kuchh thiiñ suhānī yādeñ
kyā kahūñ kaise lagīñ niiñd se bojhal āñkheñ
qarya-e-hijr meñ kaise ye 'azāb utre haiñ
maiñ to bedār huuñ aur mujh se haiñ ojhal āñkheñ
jaane vāloñ ne kabhī lauT ke aanā hī nahīñ
aur ho jā.eñgī dahlīz pe hī shal āñkheñ
faisla jiit kā ab vaqt ne karnā hai 'riyāz'
maiñ ne to rakh dī haiñ dīvār pe ghāyal āñkheñ
phir use DhunDne niklin meri bekal aankhen
jaane kis moD pe ja kar hon mukammal aankhen
us ne jo baat chhupai hai zamane-bhar se
ab wahi baat sunati hain wo pagal aankhen
un mein kuchh KHwab the aur kuchh thin suhani yaaden
kya kahun kaise lagin nind se bojhal aankhen
qarya-e-hijr mein kaise ye 'azab utre hain
main to bedar hun aur mujh se hain ojhal aankhen
jaane walon ne kabhi lauT ke aana hi nahin
aur ho jaengi dahliz pe hi shal aankhen
faisla jit ka ab waqt ne karna hai 'riyaz'
main ne to rakh di hain diwar pe ghayal aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.