phir usi shoKH ki taswir utar aai hai
phir usī shoḳh kī tasvīr utar aa.ī hai
mire ash.ār meñ muzmar mirī rusvā.ī hai
dekhne detā nahīñ duur talak dil kā ġhubār
jis se miliye vo ḳhud apnā hī tamāshā.ī hai
shahr meñ niklo to hañgāma ki har zaat ho gum
zaat meñ utro to ik ālam-e-tanhā.ī hai
zaḳhm har sañg hai us dast-e-hinā kā ham-rañg
ḳhuub us shoḳh kā andāz-e-pazīrā.ī hai
dil ne jab bhī koī saada sī tamannā kī hai
zindagī ek nayā zaḳhm lagā laa.ī hai
chaak dil laakh sahī chaak garebāñ bhī karo
iltifāt us kā ba-andāza-e-rusvā.ī hai
phir usi shoKH ki taswir utar aai hai
mere ashaar mein muzmar meri ruswai hai
dekhne deta nahin dur talak dil ka ghubar
jis se miliye wo KHud apna hi tamashai hai
shahr mein niklo to hangama ki har zat ho gum
zat mein utro to ek aalam-e-tanhai hai
zaKHm har sang hai us dast-e-hina ka ham-rang
KHub us shoKH ka andaz-e-pazirai hai
dil ne jab bhi koi sada si tamanna ki hai
zindagi ek naya zaKHm laga lai hai
chaak dil lakh sahi chaak gareban bhi karo
iltifat us ka ba-andaza-e-ruswai hai
- Book : Qamat (Pg. 52)
- Author : Shahid Hussain
- Publication : Arshia Publications (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.