phir wahi baam-o-dar ki taswiren
phir vahī bām-o-dar kī tasvīreñ
ghar ke bāhar bhī ghar kī tasvīreñ
ye hamārā kamāl hai varna
kaun khīñche hai Dar kī tasvīreñ
kyā koī jang hone vaalī hai
ḳhvāb meñ thiiñ sipar kī tasvīreñ
baiThe baiThe banā rahā huuñ maiñ
uḌtī uḌtī ḳhabar kī tasvīreñ
ḳhushk āñkhoñ se maiñ ne khīñchī haiñ
ek sūkhe shajar kī tasvīreñ
ik nayā zāviya talāsh meñ hai
dekh leñ har nazar kī tasvīreñ
dil ke hujre meñ Taañg rakkhī hai
'mīr' 'ġhālib' 'jigar' kī tasvīreñ
aap gar khīñch leñ to maiñ mānūñ
is taraf se udhar kī tasvīreñ
phir wahi baam-o-dar ki taswiren
ghar ke bahar bhi ghar ki taswiren
ye hamara kamal hai warna
kaun khinche hai Dar ki taswiren
kya koi jang hone wali hai
KHwab mein thin sipar ki taswiren
baiThe baiThe bana raha hun main
uDti uDti KHabar ki taswiren
KHushk aankhon se main ne khinchi hain
ek sukhe shajar ki taswiren
ek naya zawiya talash mein hai
dekh len har nazar ki taswiren
dil ke hujre mein Tang rakkhi hai
'mir' 'ghaalib' 'jigar' ki taswiren
aap gar khinch len to main manun
is taraf se udhar ki taswiren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.