phir wahi iztirab ki baaten
phir vahī iztirāb kī bāteñ
phir vahī pech-o-tāb kī bāteñ
mujh ko ab tak shabāb kī bāteñ
yaad haiñ jaise ḳhvāb kī bāteñ
zāhidoñ meñ bhī us kā hai mazkūr
har jagah haiñ sharāb kī bāteñ
kisī sūrat se bhūltī hī nahīñ
haa.e terī hijāb kī bāteñ
sab se vo guftugū-e-lutf-āmez
aur mujh se itaab kī bāteñ
ḳhāna-e-shauq kar chukīñ tārāj
dil-e-ḳhāna-ḳharāb kī bāteñ
naġhma-e-dil fidā-e-husn-e-ḳhayāl
kaisī chang-o-rabāb kī bāteñ
sāme.a-soz haiñ zamāna meñ
āj-kal inqalāb kī bāteñ
raas aa.iiñ mujhe muqaddar se
chashm-e-bad-dūr ḳhvāb kī bāteñ
sharh-e-tūfān-e-nūh kartī haiñ
merī chashm-e-pur-āb kī bāteñ
yaad aatī haiñ mujh ko piirī meñ
ga.ī guzrī shabāb kī bāteñ
intihā ho ga.ī gunāhoñ kī
ab to hoñ kuchh savāb kī bāteñ
kis se mehr-o-vafā kī ho ummīd
dil se kartā huuñ ḳhvāb kī bāteñ
mahv-e-zikr-e-sharāb haiñ zāhid
kar rahe haiñ savāb kī bāteñ
yaad ā.eñgī umr bhar 'mas.ūd'
kisī ḳhāna-ḳharāb kī bāteñ
phir wahi iztirab ki baaten
phir wahi pech-o-tab ki baaten
mujh ko ab tak shabab ki baaten
yaad hain jaise KHwab ki baaten
zahidon mein bhi us ka hai mazkur
har jagah hain sharab ki baaten
kisi surat se bhulti hi nahin
hae teri hijab ki baaten
sab se wo guftugu-e-lutf-amez
aur mujh se itab ki baaten
KHana-e-shauq kar chukin taraj
dil-e-KHana-KHarab ki baaten
naghma-e-dil fida-e-husn-e-KHayal
kaisi chang-o-rabab ki baaten
samea-soz hain zamana mein
aaj-kal inqalab ki baaten
ras aain mujhe muqaddar se
chashm-e-bad-dur KHwab ki baaten
sharh-e-tufan-e-nuh karti hain
meri chashm-e-pur-ab ki baaten
yaad aati hain mujh ko piri mein
gai guzri shabab ki baaten
intiha ho gai gunahon ki
ab to hon kuchh sawab ki baaten
kis se mehr-o-wafa ki ho ummid
dil se karta hun KHwab ki baaten
mahw-e-zikr-e-sharab hain zahid
kar rahe hain sawab ki baaten
yaad aaengi umr bhar 'masud'
kisi KHana-KHarab ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.