phir wahi kahne lage tu mere ghar aaya tha
phir wahi kahne lage tu mere ghar aaya tha
Ghulam Mohammad Qasir
MORE BYGhulam Mohammad Qasir
phir vahī kahne lage tū mire ghar aayā thā
chāñd jin chaar gavāhoñ ko nazar aayā thā
rañg phūloñ ne chune aap se milte julte
aur batāte bhī nahīñ kaun idhar aayā thā
buuñd bhī tishna abābīl pe nāzil na huī
varna bādal to bulandī se utar aayā thā
tū ne dekhā hī nahīñ varna vafā kā mujrim
apnī āñkheñ tirī dahlīz pe dhar aayā thā
bhuul baiThe haiñ na.e ḳhvāb kī sarshārī meñ
is se pahle bhī to ik ḳhvāb nazar aayā thā
phir wahi kahne lage tu mere ghar aaya tha
chand jin chaar gawahon ko nazar aaya tha
rang phulon ne chune aap se milte julte
aur batate bhi nahin kaun idhar aaya tha
bund bhi tishna ababil pe nazil na hui
warna baadal to bulandi se utar aaya tha
tu ne dekha hi nahin warna wafa ka mujrim
apni aankhen teri dahliz pe dhar aaya tha
bhul baiThe hain nae KHwab ki sarshaari mein
is se pahle bhi to ek KHwab nazar aaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.