phir wahi lutf-e-KHalish ho wahi sozish dekhun
phir wahi lutf-e-KHalish ho wahi sozish dekhun
Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
MORE BYAbdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
phir vahī lutf-e-ḳhalish ho vahī sozish dekhūñ
kyā bigāḌegī mirā charḳh kī gardish dekhūñ
tarz-e-bedād ne kuchh lutf diyā hai aisā
phir ye hasrat hai unheñ garm-e-navāzish dekhūñ
aap kī chashm-e-fusūñ-gar kā karam kyā kam hai
ab bhalā kis liye aflāk kī gardish dekhūñ
chashm-e-maḳhmūr kī kyā hosh-rubā.ī kam hai
hasrat-e-bāda karūñ jaam kī gardish dekhūñ
vo na aa.e na sahī ḳhud mujhe kab hai manzūr
dil-e-bīmār ko minnat-kash-e-pursish dekhūñ
ḳhūn-e-dil se ye ġhazal aaj likhī hai 'kaifī'
rang kyā lā.egā ye tarz-e-nigārish dekhūñ
phir wahi lutf-e-KHalish ho wahi sozish dekhun
kya bigaDegi mera charKH ki gardish dekhun
tarz-e-bedad ne kuchh lutf diya hai aisa
phir ye hasrat hai unhen garm-e-nawazish dekhun
aap ki chashm-e-fusun-gar ka karam kya kam hai
ab bhala kis liye aflak ki gardish dekhun
chashm-e-maKHmur ki kya hosh-rubai kam hai
hasrat-e-baada karun jam ki gardish dekhun
wo na aae na sahi KHud mujhe kab hai manzur
dil-e-bimar ko minnat-kash-e-pursish dekhun
KHun-e-dil se ye ghazal aaj likhi hai 'kaifi'
rang kya laega ye tarz-e-nigarish dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.