phir wahi raat jo tanhai ke aaghosh rahi
phir vahī raat jo tanhā.ī ke āġhosh rahī
ik unīdī sī ġhazal ḳhvāb meñ mad.hosh rahī
ham se vo ajnabī aur un se the anjāne ham
tā-abad yuuñ hī mohabbat ye farāmosh rahī
parda-e-chashm meñ yādoñ ke zaḳhīre pur-shor
jhāñktī un se jo tanhā.ī vo ḳhāmosh rahī
jab talak pahuñchī na vo mahfiloñ se mahfiloñ meñ
tab talak merī vo rusvā.ī bhī pur-josh rahī
kyuuñ ho sharminda vo insāñ ke jarā.em par yuuñ
kyuuñ zamīñ shab kī siyāhī meñ ridā-posh rahī
aañkh pe chhā.e haiñ armān jo the zer-e-dil
dāstāñ har yahāñ ho ke dhuāñ rū-posh rahī
baat phislī thī jo kānoñ meñ zabāñ se laTkī
tauq ban ke vo hī tā-'umr sar-e-dosh rahī
phir wahi raat jo tanhai ke aaghosh rahi
ek unidi si ghazal KHwab mein madhosh rahi
hum se wo ajnabi aur un se the anjaane hum
ta-abad yun hi mohabbat ye faramosh rahi
parda-e-chashm mein yaadon ke zaKHire pur-shor
jhankti un se jo tanhai wo KHamosh rahi
jab talak pahunchi na wo mahfilon se mahfilon mein
tab talak meri wo ruswai bhi pur-josh rahi
kyun ho sharminda wo insan ke jaraem par yun
kyun zamin shab ki siyahi mein rida-posh rahi
aankh pe chhae hain arman jo the zer-e-dil
dastan har yahan ho ke dhuan ru-posh rahi
baat phisli thi jo kanon mein zaban se laTki
tauq ban ke wo hi ta-'umr sar-e-dosh rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.