phir wahi shaKHs mere KHwab mein aaya hoga
phir wahi shaKHs mere KHwab mein aaya hoga
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
phir vahī shaḳhs mire ḳhvāb meñ aayā hogā
niiñd meñ us ne hī āñkhoñ ko rulāyā hogā
is amāvas meñ bhī mahtāb ugā hai ya.anī
us ne uñglī se kahīñ chāñd banāyā hogā
maiñ hī ab us ko samajh saktā huuñ us ko maiñ ne
yaad karte hue kis taur bhulāyā hogā
ek muddat se huuñ tanhā.ī-shudā kam-az-kam
phir abhī kis ne mire dil ko dukhāyā hogā
thak gayā hogā so dahshat meñ haiñ saare panchhī
āsmāñ jis ne ye kandhoñ pe uThāyā hogā
vo ḳhushī tum ne mohabbat meñ gañvā.ī hogī
tum ne ye dukh bhī mohabbat meñ gañvāyā hogā
muddateñ ho ga.iiñ tanqīd nahīñ karte log
kis ne ā.īnoñ ko ā.īna dikhāyā hogā
phir wahi shaKHs mere KHwab mein aaya hoga
nind mein us ne hi aankhon ko rulaya hoga
is amawas mein bhi mahtab uga hai yani
us ne ungli se kahin chand banaya hoga
main hi ab us ko samajh sakta hun us ko main ne
yaad karte hue kis taur bhulaya hoga
ek muddat se hun tanhai-shuda kam-az-kam
phir abhi kis ne mere dil ko dukhaya hoga
thak gaya hoga so dahshat mein hain sare panchhi
aasman jis ne ye kandhon pe uThaya hoga
wo KHushi tum ne mohabbat mein ganwai hogi
tum ne ye dukh bhi mohabbat mein ganwaya hoga
muddaten ho gain tanqid nahin karte log
kis ne aainon ko aaina dikhaya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.