phir wahi tajdid-e-mausam ho gai
phir vahī tajdīd-e-mausam ho ga.ī
vo lahū barsā zamīñ nam ho ga.ī
barg-o-gul ke jism niile paḌ ga.e
baaġh kī taaza havā sam ho ga.ī
kyā kahā mauj-e-havā ne shaam se
lau charāġhoñ kī jo maddham ho ga.ī
kyā ḳhabar kis soch meñ Duubā hai chāñd
bām-o-dar kī raushnī kam ho ga.ī
ishq kā maidān ḳhālī ho gayā
shauq kī talvār be-dam ho ga.ī
āsmāñ se rif.ateñ nāzil huiiñ
jab jabīñ insān kī ḳham ho ga.ī
ye havā-e-sard kī lahreñ 'ayāz'
āñsuoñ kī buuñd shabnam ho ga.ī
phir wahi tajdid-e-mausam ho gai
wo lahu barsa zamin nam ho gai
barg-o-gul ke jism nile paD gae
bagh ki taza hawa sam ho gai
kya kaha mauj-e-hawa ne sham se
lau charaghon ki jo maddham ho gai
kya KHabar kis soch mein Duba hai chand
baam-o-dar ki raushni kam ho gai
ishq ka maidan KHali ho gaya
shauq ki talwar be-dam ho gai
aasman se rifaten nazil huin
jab jabin insan ki KHam ho gai
ye hawa-e-sard ki lahren 'ayaz'
aansuon ki bund shabnam ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.