phir wahi tu sath mere phir wahi basti purani
phir wahi tu sath mere phir wahi basti purani
Rajinder Manchanda Bani
MORE BYRajinder Manchanda Bani
phir vahī tū saath mere phir vahī bastī purānī
ek ik rasta hai terī raunaq-e-pā kī kahānī
ai gul-e-āvārgī terī mahak tāroñ se khele
ai nadī bahtā rahe daa.im tirā bedār paanī
sabz niilī dhund meñ Duube pahāḌoñ se utartī
kyā ajab manzar-ba-manzar raushnī hai dāstānī
ik ghane sarshār hāsil kī fazā hai aur donoñ
ab nahīñ hai darmiyāñ koī bhī manzil imtihānī
maiñ ki thā munkir tirā aur ab ki maiñ qaa.il khaḌā huuñ
ai visāl-e-lamha-lamha ai atā-e-āsmānī
phir wahi tu sath mere phir wahi basti purani
ek ek rasta hai teri raunaq-e-pa ki kahani
ai gul-e-awargi teri mahak taron se khele
ai nadi bahta rahe daim tera bedar pani
sabz nili dhund mein Dube pahaDon se utarti
kya ajab manzar-ba-manzar raushni hai dastani
ek ghane sarshaar hasil ki faza hai aur donon
ab nahin hai darmiyan koi bhi manzil imtihani
main ki tha munkir tera aur ab ki main qail khaDa hun
ai visal-e-lamha-lamha ai ata-e-asmani
- Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 194)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.