phir vo aa.e koī bahāna kare
muḳhtasar baat kā fasāna kare
dar-ba-dar maarā maarā phirtā hai
dil se kah do koī Thikāna kare
rok rakkhā hai us ne ab tak kyoñ
vaqt chalne kā hai ravāna kare
hosh kī baat ab vo kartā nahīñ
tum kaho aur kyā divāna kare
jaane us vaqt dil pe kyā guzre
ham kaheñ aur vo sunā na kare
aaj yāroñ kā dam ġhanīmat hai
jaane kyā haal kal zamāna kare
vo bhī kaisā ajiib shaḳhs hai 'raaj
pyaar kā qarz jo adā na kare
phir wo aae koi bahana kare
muKHtasar baat ka fasana kare
dar-ba-dar mara mara phirta hai
dil se kah do koi Thikana kare
rok rakkha hai us ne ab tak kyon
waqt chalne ka hai rawana kare
hosh ki baat ab wo karta nahin
tum kaho aur kya diwana kare
jaane us waqt dil pe kya guzre
hum kahen aur wo suna na kare
aaj yaron ka dam ghanimat hai
jaane kya haal kal zamana kare
wo bhi kaisa ajib shaKHs hai 'raj
pyar ka qarz jo ada na kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.