phir yaad aa gai kisi shirin-dahan ki baat
phir yaad aa ga.ī kisī shīrīñ-dahan kī baat
jis kī har ek baat hai sher-o-suḳhan kī baat
anjān ban ke hāl-e-ġham-e-dil na pūchhiye
aa jā.egī zabān pe zaḳhm-e-kuhan kī baat
sub.h-e-bahār lutf-e-suḳhan rañg-e-rū-e-gul
har husn meñ nihāñ hai tire bāñkpan kī baat
kyoñ andalīb chup hai sabā mājrā hai kyā
gulshan meñ ho rahī hai jo zāġh-o-zaġhan kī baat
dillī bahut hasīn hai dilkash hai lucknow
lekin ye aur hī hai hamāre dakan kī baat
sunte rahe zamāne kī kaḌvī kaḌī magar
kahne na paa.e 'tāhira' ham apne man kī baat
phir yaad aa gai kisi shirin-dahan ki baat
jis ki har ek baat hai sher-o-suKHan ki baat
anjaan ban ke haal-e-gham-e-dil na puchhiye
aa jaegi zaban pe zaKHm-e-kuhan ki baat
subh-e-bahaar lutf-e-suKHan rang-e-ru-e-gul
har husn mein nihan hai tere bankpan ki baat
kyon andalib chup hai saba majra hai kya
gulshan mein ho rahi hai jo zagh-o-zaghan ki baat
dilli bahut hasin hai dilkash hai lucknow
lekin ye aur hi hai hamare dakan ki baat
sunte rahe zamane ki kaDwi kaDi magar
kahne na pae 'tahira' hum apne man ki baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.