phir yaadon ka mausam aaya kai baras ke baad
phir yādoñ kā mausam aayā ka.ī baras ke ba.ad
jaane kyoñ darpan sharmāyā ka.ī baras ke ba.ad
dil se kitnā duur rahā thā sukh sapnoñ kā gaañv
āñkhoñ meñ sapnā añkrāyā ka.ī baras ke ba.ad
mīThī mīThī ḳhushbū vaalī sāñseñ aatī haiñ
bagiyā ne mahuvā Tapkāyā ka.ī baras ke ba.ad
tez dhuup meñ taptī rāheñ pyaas thī nañge paañv
nainoñ ne amrit barsāyā ka.ī baras ke ba.ad
sāñsoñ meñ belā mahkā aur bāloñ meñ juuhī
jaise koī pāhun aayā ka.ī baras ke ba.ad
aam kī chaTnī dhulī daal aur roTī garm garm
amaañ ne chūlhā sulgāyā ka.ī baras ke ba.ad
phir yaadon ka mausam aaya kai baras ke baad
jaane kyon darpan sharmaya kai baras ke baad
dil se kitna dur raha tha sukh sapnon ka ganw
aankhon mein sapna ankraya kai baras ke baad
miThi miThi KHushbu wali sansen aati hain
bagiya ne mahuwa Tapkaya kai baras ke baad
tez dhup mein tapti rahen pyas thi nange panw
nainon ne amrit barsaya kai baras ke baad
sanson mein bela mahka aur baalon mein juhi
jaise koi pahun aaya kai baras ke baad
aam ki chaTni dhuli dal aur roTi garm garm
aman ne chulha sulgaya kai baras ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.