phir ye duniya badalne mein lamha lage
phir ye duniyā badalne meñ lamha lage
tū achānak jo mere gale aa lage
ham bichhaḌ kar bhī tujh se ji.e to magar
sirf itnā ki duniyā ko zinda lage
terī bātoñ meñ jaadū hai terī qasam
kitnā jhūTā hai tū phir bhī sachchā lage
ab bharosa kisī par nahīñ hai mujhe
mujh ko har shaḳhs ab tere jaisā lage
ek to she'r aisā kahūñ maiñ 'ratan'
jo samā'at ko 'ġhālib' kā charba lage
phir ye duniya badalne mein lamha lage
tu achanak jo mere gale aa lage
hum bichhaD kar bhi tujh se jie to magar
sirf itna ki duniya ko zinda lage
teri baaton mein jadu hai teri qasam
kitna jhuTa hai tu phir bhi sachcha lage
ab bharosa kisi par nahin hai mujhe
mujh ko har shaKHs ab tere jaisa lage
ek to she'r aisa kahun main 'ratan'
jo sama'at ko 'ghaalib' ka charba lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.