phiri hai kyon nigah-e-dilruba nahin malum
phiri hai kyon nigah-e-dilruba nahin malum
Munshi Thakur Parsad Talib
MORE BYMunshi Thakur Parsad Talib
phirī hai kyoñ nigah-e-dilrubā nahīñ ma.alūm
hai is adā meñ bhī kis kī qazā nahīñ ma.alūm
guloñ se kis liye bigḌī sabā nahīñ ma.alūm
chalī ye baaġh meñ kaisī havā nahīñ ma.alūm
tumhīñ pe apnī hayāt-o-mamāt kā hai madār
hameñ to aur kuchh is ke sivā nahīñ ma.alūm
talab vo karte haiñ ā.īna ḳhair ho yā-rab
balā ye lā.egā kyā dūsrā nahīñ ma.alūm
tumhārī zulfeñ haiñ be-tarah raat se bal par
kareñgī kis ko asīr-e-balā nahīñ ma.alūm
jalā.e hasti-e-āshiq ko ye vo sho.ala hai
kuchh un ko shoḳhī-e-rang-e-hinā nahīñ ma.alūm
hamāre sāmne yaksāñ hai rutba-e-ruḳh-o-zulf
hameñ tafāvut-e-sub.h-o-masā nahīñ ma.alūm
savāl bosa tak un se kiyā na ham ne kabhī
vo kis ḳhatā pe haiñ ham se ḳhafā nahīñ ma.alūm
banā mazār bhī apnā to tere kūche meñ
mirī vafā tujhe kyā be-vafā nahīñ ma.alūm
jo raah pūchho to kahte haiñ rah-ravān-e-adam
batā.eñ kyā hameñ ḳhud rāstā nahīñ ma.alūm
hamārā haal bhī hairat-fazā hai ai hamdam
ki ashk jaarī haiñ aur mājrā nahīñ ma.alūm
ḳhushī ye hai ki vo kahte haiñ qatl kar ke mujhe
sazā to dī hai vale kuchh ḳhatā nahīñ ma.alūm
marīz-e-hijr se zid hai mire masīhā ko
vagarna kyā use is kī davā nahīñ ma.alūm
mumāna.at hai jo 'tālib' ko but-parastī kī
binā-e-ka.aba tujhe shaiḳh kyā nahīñ ma.alūm
phiri hai kyon nigah-e-dilruba nahin malum
hai is ada mein bhi kis ki qaza nahin malum
gulon se kis liye bigDi saba nahin malum
chali ye bagh mein kaisi hawa nahin malum
tumhin pe apni hayat-o-mamat ka hai madar
hamein to aur kuchh is ke siwa nahin malum
talab wo karte hain aaina KHair ho ya-rab
bala ye laega kya dusra nahin malum
tumhaari zulfen hain be-tarah raat se bal par
karengi kis ko asir-e-bala nahin malum
jalae hasti-e-ashiq ko ye wo shoala hai
kuchh un ko shoKHi-e-rang-e-hina nahin malum
hamare samne yaksan hai rutba-e-ruKH-o-zulf
hamein tafawut-e-subh-o-masa nahin malum
sawal bosa tak un se kiya na hum ne kabhi
wo kis KHata pe hain hum se KHafa nahin malum
bana mazar bhi apna to tere kuche mein
meri wafa tujhe kya be-wafa nahin malum
jo rah puchho to kahte hain rah-rawan-e-adam
bataen kya hamein KHud rasta nahin malum
hamara haal bhi hairat-faza hai ai hamdam
ki ashk jari hain aur majra nahin malum
KHushi ye hai ki wo kahte hain qatl kar ke mujhe
saza to di hai wale kuchh KHata nahin malum
mariz-e-hijr se zid hai mere masiha ko
wagarna kya use is ki dawa nahin malum
mumanat hai jo 'talib' ko but-parasti ki
bina-e-kaba tujhe shaiKH kya nahin malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.