phirta hun bhaTakta koi rahbar nahin milta
phirta hun bhaTakta koi rahbar nahin milta
Meer Shamsuddeen Faiz
MORE BYMeer Shamsuddeen Faiz
phirtā huuñ bhaTaktā koī rahbar nahīñ miltā
hai vo nighrā us kā mujhe ghar nahīñ miltā
yārab maraz-e-ishq hai yā koī balā hai
chain is dil-e-betāb ko dam bhar nahīñ miltā
ham kis se kareñ da.ava-e-ḳhūñ kījiye insāf
maqtūl haiñ jis ke vo sitamgar nahīñ miltā
sab ārzūeñ dil kī ba-ḳhūbī nikal aa.eñ
tanhā vo kabhī ham se ghaḌī bhar nahīñ miltā
naqd-e-dil-o-jāñ nazr karūñ muft hī lekin
mujh ko mire Dhab kā koī dilbar nahīñ miltā
achchhā kiyā jo aa rahe āñkhoñ meñ hī vo 'faiz'
aisā kahīñ duniyā meñ unheñ ghar nahīñ miltā
phirta hun bhaTakta koi rahbar nahin milta
hai wo nighra us ka mujhe ghar nahin milta
yarab maraz-e-ishq hai ya koi bala hai
chain is dil-e-betab ko dam bhar nahin milta
hum kis se karen dawa-e-KHun kijiye insaf
maqtul hain jis ke wo sitamgar nahin milta
sab aarzuen dil ki ba-KHubi nikal aaen
tanha wo kabhi hum se ghaDi bhar nahin milta
naqd-e-dil-o-jaan nazr karun muft hi lekin
mujh ko mere Dhab ka koi dilbar nahin milta
achchha kiya jo aa rahe aankhon mein hi wo 'faiz'
aisa kahin duniya mein unhen ghar nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.