phirti hai justuju mein nasim-e-watan kahan
phirtī hai justujū meñ nasīm-e-vatan kahāñ
ab maiñ ḳhizāñ-rasīda kahāñ aur chaman kahāñ
is daur meñ vafā kī rusūm-e-kuhan kahāñ
mansūr bhī ab aa.e to dār-o-rasan kahāñ
aatā hai kaun hijr meñ ai zauq-e-intizār
daur-e-ḳhizāñ meñ sadr-nashīn-e-chaman kahāñ
mere ġhurūr-e-ishq meñ begāngī sahī
lekin tirī nigāh kā begāna-pan kahāñ
ḳhud hī miTā sake to miTā ai razā-e-dost
DhūñDe koī vasīla-e-dār-o-rasan kahāñ
maiñ aur terī anjuman-e-nāz kī talāsh
mere liye vo jannat-e-sarv-o-saman kahāñ
go zamzame hazār haiñ lekin sivā.e ishq
hāsil kisī se lazzat-e-kām-o-dahan kahāñ
shīrāza-band-e-dair-o-haram hai mirā niyāz
jo maiñ na huuñ to shaiḳh kahāñ barhaman kahāñ
jeb-e-saman darīda garebān-e-lāla chaak
mahfūz us nazar se koī pairahan kahāñ
jo un kī rahguzar meñ paḌe the paḌe rahe
jaate 'zafar' ye ḳhalvatiyān-e-chaman kahāñ
phirti hai justuju mein nasim-e-watan kahan
ab main KHizan-rasida kahan aur chaman kahan
is daur mein wafa ki rusum-e-kuhan kahan
mansur bhi ab aae to dar-o-rasan kahan
aata hai kaun hijr mein ai zauq-e-intizar
daur-e-KHizan mein sadr-nashin-e-chaman kahan
mere ghurur-e-ishq mein begangi sahi
lekin teri nigah ka begana-pan kahan
KHud hi miTa sake to miTa ai raza-e-dost
DhunDe koi wasila-e-dar-o-rasan kahan
main aur teri anjuman-e-naz ki talash
mere liye wo jannat-e-sarw-o-saman kahan
go zamzame hazar hain lekin siwae ishq
hasil kisi se lazzat-e-kaam-o-dahan kahan
shiraaza-band-e-dair-o-haram hai mera niyaz
jo main na hun to shaiKH kahan barhaman kahan
jeb-e-saman darida gareban-e-lala chaak
mahfuz us nazar se koi pairahan kahan
jo un ki rahguzar mein paDe the paDe rahe
jate 'zafar' ye KHalwatiyan-e-chaman kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.