phirti hai zindagi janaza-ba-dosh
phirtī hai zindagī janāza-ba-dosh
but bhī chup haiñ ḳhudā bhī hai ḳhāmosh
koī merī tarah jiye to sahī
zindagī dar-gulū ajal bar-dosh
dīdanī thī ye kā.enāt bahut
ham bhī kuchh din rahe ḳharāb-e-hosh
ghar se tauf-e-haram ko niklā thā
raah meñ thī dukān-e-bāda-farosh
ik ta.alluq qadam ko raah se hai
maiñ na āvāra huuñ na ḳhāna-ba-dosh
ham se ġhāfil nahīñ haiñ ahl-e-sitam
ik zarā thak ke ho ga.e haiñ ḳhamosh
jī meñ hai koī aarzū kiije
ya.anī baaqī hai sar meñ mastī hosh
hai ye duniyā bahut vasī.a to ho
maiñ huuñ aur terā halqa-e-āġhosh
dil ko rote kahāñ talak 'aḳhtar'
āḳhir-kār ho ga.e ḳhāmosh
phirti hai zindagi janaza-ba-dosh
but bhi chup hain KHuda bhi hai KHamosh
koi meri tarah jiye to sahi
zindagi dar-gulu ajal bar-dosh
didani thi ye kaenat bahut
hum bhi kuchh din rahe KHarab-e-hosh
ghar se tauf-e-haram ko nikla tha
rah mein thi dukan-e-baada-farosh
ek talluq qadam ko rah se hai
main na aawara hun na KHana-ba-dosh
hum se ghafil nahin hain ahl-e-sitam
ek zara thak ke ho gae hain KHamosh
ji mein hai koi aarzu kije
yani baqi hai sar mein masti hosh
hai ye duniya bahut wasia to ho
main hun aur tera halqa-e-aghosh
dil ko rote kahan talak 'aKHtar'
aaKHir-kar ho gae KHamosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.