phone mera kyon kaTe hai wo baat adhuri rah jati hai
phone mirā kyoñ kaaTe hai vo baat adhūrī rah jaatī hai
milan-vilan nahīñ ho paatā hai lekin duurī rah jaatī hai
rah ga.ī kitnī baat adhūrī phone huā hai kyoñ band us kā
kyoñ har rabt ke dhāge ke andar majbūrī rah jaatī hai
jazb kī rau meñ na vo bah jaa.e tabhī hai kaaTe phone vo merā
āñkhoñ kī dahlīz pe bhīgī sī māzūrī rah jaatī hai
jo kuchh kahnā hotā hai jo sochā dil ne hotā hai sab
pyaar kī mīThī bātoñ meñ har baat zarūrī rah jaatī hai
phuul chaman ke saare chun luuñ 'duā' ufuq ke paar chalūñ maiñ
lekin dil meñ dabī dabī ḳhvāhish kastūrī rah jaatī hai
phone mera kyon kaTe hai wo baat adhuri rah jati hai
milan-wilan nahin ho pata hai lekin duri rah jati hai
rah gai kitni baat adhuri phone hua hai kyon band us ka
kyon har rabt ke dhage ke andar majburi rah jati hai
jazb ki rau mein na wo bah jae tabhi hai kaTe phone wo mera
aankhon ki dahliz pe bhigi si mazuri rah jati hai
jo kuchh kahna hota hai jo socha dil ne hota hai sab
pyar ki miThi baaton mein har baat zaruri rah jati hai
phul chaman ke sare chun lun 'dua' ufuq ke par chalun main
lekin dil mein dabi dabi KHwahish kasturi rah jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.