photo ko usne phaD ke Table pe rakh diya
photo ko us ne phaaḌ ke Table pe rakh diyā
to maiñ ne muñh bigāḌ ke Table pe rakh diyā
muddat huī hai aañkh se aañsū nahīñ girā
āñkhoñ ko maiñ ne jhaaḌ ke Table pe rakh diyā
jis baat ko hamesha gale se lagāyā thā
āḳhir use pachhāḌ ke Table pe rakh diyā
us ne kahā thā gul use behad pasand hai
maiñ ne shajar ukhāḌ ke Table pe rakh diyā
mahfil meñ sab ke paas thā koī nayā kalām
maiñ ne purānā jhaaḌ ke Table pe rakh diyā
photo ko us ne phaD ke Table pe rakh diya
to main ne munh bigaD ke Table pe rakh diya
muddat hui hai aankh se aansu nahin gira
aankhon ko main ne jhaD ke Table pe rakh diya
jis baat ko hamesha gale se lagaya tha
aaKHir use pachhaD ke Table pe rakh diya
us ne kaha tha gul use behad pasand hai
main ne shajar ukhaD ke Table pe rakh diya
mahfil mein sab ke pas tha koi naya kalam
main ne purana jhaD ke Table pe rakh diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.