phul achchha nahin lagta hai chaman se bahar
phuul achchhā nahīñ lagtā hai chaman se bāhar
bad-nasībī hameñ le aa.ī vatan se bāhar
ek bhī shaḳhs agar ho to batā do mujh ko
kaun is daur meñ hai ranj-o-mehan se bāhar
zar-parasto kabhī sochā bhī hai ki kyoñ āḳhir
haath rakkhe the sikandar ke kafan se bāhar
chand sikke nahīñ miltī hai aziyyat phir bhī
log aksar chale jaate haiñ vatan se bāhar
ab ye bastī bhī huī jaatī hai vīrāñ 'ātish'
sochtā huuñ ki nikal jā.ūñ badan se bāhar
phul achchha nahin lagta hai chaman se bahar
bad-nasibi hamein le aai watan se bahar
ek bhi shaKHs agar ho to bata do mujh ko
kaun is daur mein hai ranj-o-mehan se bahar
zar-parasto kabhi socha bhi hai ki kyon aaKHir
hath rakkhe the sikandar ke kafan se bahar
chand sikke nahin milti hai aziyyat phir bhi
log aksar chale jate hain watan se bahar
ab ye basti bhi hui jati hai viran 'atish'
sochta hun ki nikal jaun badan se bahar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.