phul bhare hain daman daman
phul bhare hain daman daman
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
phuul bhare haiñ dāman dāman
lekin vīrāñ vīrāñ gulshan
ishq kī mastī dil kī dhaḌkan
ek javānī do do joban
dekhe haiñ sab shaiḳh-o-barahman
naam baḌe aur chhoTe darshan
kaun kisī ke dukh kā sāthī
apne aañsū apnā dāman
zabt ne jab bhī hoñT siye haiñ
tez huī hai dil kī dhaḌkan
gorā mukhḌā kaalī zulfeñ
sub.h ke dar par shaam kī chilman
gulshan ke matvāle haiñ ham
phuul bhī gulshan ḳhaar bhī gulshan
aql kī bāteñ karne vaale
kyā samjheñge dil kī dhaḌkan
husn aur ishq meñ farq yahī hai
ek hai shīsha ek hai aahan
tan ke ujle man ke maile
ye haiñ vaa.iz jī ke lachchhan
aql ne aksar dil ko kosā
naach na jaane TeḌhā āñgan
tan-man tum par vaar diye haiñ
us kā sab kuchh jis kā tan-man
terā dāman chhoḌūñ kaise
merī duniyā terā dāman
ruuTh ke jaane vaale āḳhir
apnoñ se kyuuñ itnī an-ban
terī yaad kā nuur thā varna
hijr kī zulmat aur ho raushan
aaj 'sahar' aanā hai kis ko
raushan hai kyuuñ merā āñgan
phul bhare hain daman daman
lekin viran viran gulshan
ishq ki masti dil ki dhaDkan
ek jawani do do joban
dekhe hain sab shaiKH-o-barahman
nam baDe aur chhoTe darshan
kaun kisi ke dukh ka sathi
apne aansu apna daman
zabt ne jab bhi honT siye hain
tez hui hai dil ki dhaDkan
gora mukhDa kali zulfen
subh ke dar par sham ki chilman
gulshan ke matwale hain hum
phul bhi gulshan KHar bhi gulshan
aql ki baaten karne wale
kya samjhenge dil ki dhaDkan
husn aur ishq mein farq yahi hai
ek hai shisha ek hai aahan
tan ke ujle man ke maile
ye hain waiz ji ke lachchhan
aql ne aksar dil ko kosa
nach na jaane TeDha aangan
tan-man tum par war diye hain
us ka sab kuchh jis ka tan-man
tera daman chhoDun kaise
meri duniya tera daman
ruTh ke jaane wale aaKHir
apnon se kyun itni an-ban
teri yaad ka nur tha warna
hijr ki zulmat aur ho raushan
aaj 'sahar' aana hai kis ko
raushan hai kyun mera aangan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.