phul chiKH uThte hain patton pe nami bolti hai
phuul chīḳh uThte haiñ pattoñ pe namī boltī hai
bel ke pinjre se jab shāḳh harī boltī hai
merī vus.at mire iz.hār ke aaḌe aa.ī
mujh samundar se ziyāda to nadī boltī hai
maiñ to chiḌiyā ko hī bulbul kī jagah likkhūñgā
ki mire ghar meñ to din-rāt yahī boltī hai
din mirā job kī bak-bak meñ guzar jaatā hai
aur shab-bhar ye kalā.ī kī ghaḌī boltī hai
ai khile phuul ke shaidā.ī tujhe ilm nahīñ
kitne zū-ma.anī tarīqe se kalī boltī hai
aañkh vaalo yuuñ mirī ḳhaak tamāshā na karo
sunñe vaalo ye mirī tez-ravī boltī hai
tū samajhdār agar hai to yahī kaafī hai
tujhe kahtī hai ki kyā hai mujhe jī boltī hai
phul chiKH uThte hain patton pe nami bolti hai
bel ke pinjre se jab shaKH hari bolti hai
meri wusat mere izhaar ke aaDe aai
mujh samundar se ziyaada to nadi bolti hai
main to chiDiya ko hi bulbul ki jagah likkhunga
ki mere ghar mein to din-raat yahi bolti hai
din mera job ki bak-bak mein guzar jata hai
aur shab-bhar ye kalai ki ghaDi bolti hai
ai khile phul ke shaidai tujhe ilm nahin
kitne zu-mani tariqe se kali bolti hai
aankh walo yun meri KHak tamasha na karo
sunne walo ye meri tez-rawi bolti hai
tu samajhdar agar hai to yahi kafi hai
tujhe kahti hai ki kya hai mujhe ji bolti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.