phul galon ko to aankhon ko kanwal kahta raha
phuul gāloñ ko to āñkhoñ ko kañval kahtā rahā
jang thī bāhar galī meñ maiñ ġhazal kahtā rahā
mar rahe the rafta rafta mere sab mahsūr dost
aur maiñ masjid meñ rabb-e-lam-yazal kahtā rahā
shā.erī kī aur nazar-andāz kī bachchoñ kī bhuuk
chāñd ko roTī kā maiñ nemul-badal kahtā rahā
aa paḌā dil par mire āḳhir mirā kohna vajūd
roz dastak de ke is ghar se nikal kahtā rahā
aa ga.ī āḳhir mire sar par mire dushman kī fauj
maiñ bhī tayyārī karūñgā āj-kal kahtā rahā
tai na kar paayā kabhī apnā tashaḳhḳhus hī 'nasīm'
āb-e-zamzam ko hamesha gangā-jal kahtā rahā
phul galon ko to aankhon ko kanwal kahta raha
jang thi bahar gali mein main ghazal kahta raha
mar rahe the rafta rafta mere sab mahsur dost
aur main masjid mein rabb-e-lam-yazal kahta raha
shaeri ki aur nazar-andaz ki bachchon ki bhuk
chand ko roTi ka main nemul-badal kahta raha
aa paDa dil par mere aaKHir mera kohna wajud
roz dastak de ke is ghar se nikal kahta raha
aa gai aaKHir mere sar par mere dushman ki fauj
main bhi tayyari karunga aaj-kal kahta raha
tai na kar paya kabhi apna tashaKHKHus hi 'nasim'
aab-e-zamzam ko hamesha ganga-jal kahta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.