phul gham ke khile rahe barson
phuul ġham ke khile rahe barsoñ
dard ke silsile rahe barsoñ
zindagī thī bahut aziiz magar
zindagī se gile rahe barsoñ
un guloñ ke nasab kā kyā kahnā
dhuup meñ jo khile rahe barsoñ
ishq thī baat ek lamhe kī
hoñT apne sile rahe barsoñ
dostoñ kī to baat apnī jagah
ham ko ḳhud hī gile rahe barsoñ
ek ta.abīr bhī milī na 'ziyā'
ḳhvāb ke silsile rahe barsoñ
phul gham ke khile rahe barson
dard ke silsile rahe barson
zindagi thi bahut aziz magar
zindagi se gile rahe barson
un gulon ke nasab ka kya kahna
dhup mein jo khile rahe barson
ishq thi baat ek lamhe ki
honT apne sile rahe barson
doston ki to baat apni jagah
hum ko KHud hi gile rahe barson
ek tabir bhi mili na 'ziya'
KHwab ke silsile rahe barson
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.