phul girte hi ye sab rang utar jaega
phuul girte hī ye sab rañg utar jā.egā
dhuul kī zad meñ jo aaya vo bikhar jā.egā
maiñ huuñ parda tire ghar kā na haTā tū mujh ko
maiñ haTā to tirā har raaz bikhar jā.egā
aag andar kī kahāñ murda vo hone degā
bujhte sho.aloñ ko havā de ke guzar jā.egā
apne armānoñ ko show-case meñ rakhte kyuuñ ho
jo bhī aa.egā vo dekhegā guzar jā.egā
log us but ko ḳhudā kahne lageñge 'nusrat'
tū kahīñ saa.e kī ḳhātir jo udhar jā.egā
phul girte hi ye sab rang utar jaega
dhul ki zad mein jo aaya wo bikhar jaega
main hun parda tere ghar ka na haTa tu mujh ko
main haTa to tera har raaz bikhar jaega
aag andar ki kahan murda wo hone dega
bujhte shoalon ko hawa de ke guzar jaega
apne armanon ko show-case mein rakhte kyun ho
jo bhi aaega wo dekhega guzar jaega
log us but ko KHuda kahne lagenge 'nusrat'
tu kahin sae ki KHatir jo udhar jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.