phul hain hum bahaar hain hum log
phuul haiñ ham bahār haiñ ham log
ḳhushnumā ḳhush-gavār haiñ ham log
shā.ir-e-dil-figār haiñ ham log
fitratan sho.ala-bār haiñ ham log
muuñd kar āñkheñ khol dete haiñ
ġhāfil-o-hoshiyār haiñ ham log
ham se kyā pūchhte ho hāl-e-dil
dāstān-e-hazār haiñ ham log
zīnat-e-anjuman agar haiñ aap
raunaq-e-bazm-e-yār haiñ ham log
ḳhuub achchhī tarah samajh liije
vaqt kī ik pukār haiñ ham log
yā tirī yaad dil meñ rahtī hai
yā taġhāful-shi.ār haiñ ham log
yā haiñ apne vatan meñ ai 'hamdam'
yā ġharīb-ud-dayār haiñ ham log
phul hain hum bahaar hain hum log
KHushnuma KHush-gawar hain hum log
shair-e-dil-figar hain hum log
fitratan shoala-bar hain hum log
mund kar aankhen khol dete hain
ghafil-o-hoshiyar hain hum log
hum se kya puchhte ho haal-e-dil
dastan-e-hazar hain hum log
zinat-e-anjuman agar hain aap
raunaq-e-bazm-e-yar hain hum log
KHub achchhi tarah samajh lije
waqt ki ek pukar hain hum log
ya teri yaad dil mein rahti hai
ya taghaful-shiar hain hum log
ya hain apne watan mein ai 'hamdam'
ya gharib-ud-dayar hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.