phul jalte hain kahin barg-o-samar jalte hain
phuul jalte haiñ kahīñ barg-o-samar jalte haiñ
fasl-e-gul aa.ī hai bāġhoñ meñ shajar jalte haiñ
allah allāh jabīn-e-ruḳh-e-jānāñ kī tapish
aisā lagtā hai ki ab shams-o-qamar jalte haiñ
kyā ġhazab hai ki tire shahr meñ ai jān-e-ġhazal
jism-o-jāñ zehn-o-nazar qalb-o-jigar jalte haiñ
jis taraf dekhiye ik aag kā dariyā hai ravāñ
rāste ḳhuun meñ Duube haiñ nagar jalte haiñ
bujh chukā huuñ maiñ magar ab bhī mire naqsh-e-qadam
dekh lo jā ke sar-e-rāhguzar jalte haiñ
jin ke sīnoñ meñ farozāñ hai vafā kī sham.eñ
roz-o-shab jalte haiñ vo shām-o-sahar jalte haiñ
aap jis shahr ko pur-amn samajhte haiñ huzūr
vāqi.a ye hai usī shahr meñ ghar jalte haiñ
daf.atan niiñd se maiñ chauñk uThā ai 'aḳhtar'
maiñ ne jab ḳhvāb meñ dekhā ki hunar jalte haiñ
phul jalte hain kahin barg-o-samar jalte hain
fasl-e-gul aai hai baghon mein shajar jalte hain
allah allah jabin-e-ruKH-e-jaanan ki tapish
aisa lagta hai ki ab shams-o-qamar jalte hain
kya ghazab hai ki tere shahr mein ai jaan-e-ghazal
jism-o-jaan zehn-o-nazar qalb-o-jigar jalte hain
jis taraf dekhiye ek aag ka dariya hai rawan
raste KHun mein Dube hain nagar jalte hain
bujh chuka hun main magar ab bhi mere naqsh-e-qadam
dekh lo ja ke sar-e-rahguzar jalte hain
jin ke sinon mein farozan hai wafa ki shamen
roz-o-shab jalte hain wo sham-o-sahar jalte hain
aap jis shahr ko pur-amn samajhte hain huzur
waqia ye hai usi shahr mein ghar jalte hain
dafatan nind se main chaunk uTha ai 'aKHtar'
main ne jab KHwab mein dekha ki hunar jalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.