phul jitne hain tumhaare haar mein
phuul jitne haiñ tumhāre haar meñ
sab guñdhe haiñ āñsuoñ ke taar meñ
jis ne chāhā tujh ko sar-gardāñ rahā
dasht meñ koī koī kohsār meñ
dil ke TukḌe o sitamgar bāñdh le
koī ḳhanjar meñ koī talvār meñ
har jagah haiñ chāhne vaale tire
koī sahrā meñ koī gulzār meñ
hai jagah sar phoḌ lene ko bahut
kyā dharā hai aap kī dīvār meñ
tū agar dam bhar ko aa jaa.e masīh
jaan aa jaa.e tire bīmār meñ
jo bane ai charḳh vo ham par bane
par na farq aa.e tirī raftār meñ
āñkhoñ hī āñkhoñ meñ ai 'anjum' kaTī
raat saarī intizār-e-yār meñ
phul jitne hain tumhaare haar mein
sab gundhe hain aansuon ke tar mein
jis ne chaha tujh ko sar-gardan raha
dasht mein koi koi kohsar mein
dil ke TukDe o sitamgar bandh le
koi KHanjar mein koi talwar mein
har jagah hain chahne wale tere
koi sahra mein koi gulzar mein
hai jagah sar phoD lene ko bahut
kya dhara hai aap ki diwar mein
tu agar dam bhar ko aa jae masih
jaan aa jae tere bimar mein
jo bane ai charKH wo hum par bane
par na farq aae teri raftar mein
aankhon hi aankhon mein ai 'anjum' kaTi
raat sari intizar-e-yar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.