phul jo sahn-e-bayaban mein jawan hota hai
phuul jo sahn-e-bayābāñ meñ javāñ hotā hai
‘azmat-e-fasl-e-bahārāñ kā nishāñ hotā hai
qatra-e-ashk ko samjho na zarā sā paanī
qatra-e-ashk ġham-e-dil kī zabāñ hotā hai
haiñ ye be-kār sabhī dair-o-haram ke jhagḌe
lā-makāñ ho jo kahīñ us kā makān hotā hai
jab bhī aatī hai kabhī fasl-e-bahārāñ ai dost
ās-pās us ke kahīñ daur-e-ḳhizāñ hotā hai
jaane kyā soch ke ho jaatā huuñ maiñ bhī ġhamgīñ
jab bhī mahfil meñ kabhī zikr-e-butāñ hotā hai
aaj ke daur meñ insān na DhūñDo yaaro
aaj ke daur meñ insān kahāñ hotā hai
apnī tahzīb kī ye āḳhirī manzil hai 'kañval'
reg-zāroñ pe bahāroñ kā gumāñ hotā hai
phul jo sahn-e-bayaban mein jawan hota hai
‘azmat-e-fasl-e-bahaaran ka nishan hota hai
qatra-e-ashk ko samjho na zara sa pani
qatra-e-ashk gham-e-dil ki zaban hota hai
hain ye be-kar sabhi dair-o-haram ke jhagDe
la-makan ho jo kahin us ka makan hota hai
jab bhi aati hai kabhi fasl-e-bahaaran ai dost
aas-pas us ke kahin daur-e-KHizan hota hai
jaane kya soch ke ho jata hun main bhi ghamgin
jab bhi mahfil mein kabhi zikr-e-butan hota hai
aaj ke daur mein insan na DhunDo yaro
aaj ke daur mein insan kahan hota hai
apni tahzib ki ye aaKHiri manzil hai 'kanwal'
reg-zaron pe bahaaron ka guman hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.