phul juDe mein jab sajaana hai
phuul juuḌe meñ jab sajānā hai
pahle tum ne mujhe batānā hai
mere ajdād ne bhī maanā hai
ishq dhanda bahut purānā hai
dars maañ baap ne diyā hai mujhe
girte har shaḳhs ko uThānā hai
mil ke dushman se sāzisheñ kar lo
maiñ ne āḳhir ko jiit jaanā hai
ruḳh havāoñ kī samt karte hue
ik diyā maiñ ne phir jalānā hai
shor hotā hai yuuñ pas-e-dīvār
pas-e-dīvār ik zamāna hai
phuul bikhre paḌe haiñ raste meñ
aaj shāyad kisī ne aanā hai
kyā bigāḌeñge ġham bhalā us kā
jis kī qismat meñ muskurānā hai
laakh duniyā lagā.e ta.azīreñ
amn kā giit maiñ ne gaanā hai
kaam se fursateñ nahīñ 'ābid'
abhī bachchoñ ko bhī paḌhānā hai
phul juDe mein jab sajaana hai
pahle tum ne mujhe batana hai
mere ajdad ne bhi mana hai
ishq dhanda bahut purana hai
dars man bap ne diya hai mujhe
girte har shaKHs ko uThana hai
mil ke dushman se sazishen kar lo
main ne aaKHir ko jit jaana hai
ruKH hawaon ki samt karte hue
ek diya main ne phir jalana hai
shor hota hai yun pas-e-diwar
pas-e-diwar ek zamana hai
phul bikhre paDe hain raste mein
aaj shayad kisi ne aana hai
kya bigaDenge gham bhala us ka
jis ki qismat mein muskurana hai
lakh duniya lagae taziren
amn ka git main ne gana hai
kaam se fursaten nahin 'abid'
abhi bachchon ko bhi paDhana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.