phul ka rup KHizan mein bhi nikhar sakta hai
phuul kā ruup ḳhizāñ meñ bhī nikhar saktā hai
ye muqaddar hai kisī vaqt sañvar saktā hai
ishq kāmil ho to hārij nahīñ hotī maujeñ
bahtā dariyā bhī bilā rok Thahar saktā hai
ye karishma bhī mire rab ne dikhāyā sab ko
zulm kā dev bilā maut bhī mar saktā hai
ḳhvāb kī chhāñv meñ buzdil hī jiyā karte haiñ
ḳhvāb to ḳhvāb hai ik pal meñ bikhar saktā hai
har añdhere meñ nikal aatā hai raushan pahlū
kufr kī aag meñ īmān sañvar saktā hai
tang-dil yaar pe 'muztar' na bharosa karnā
vaqt ke saath ye va.adoñ se mukar saktā hai
phul ka rup KHizan mein bhi nikhar sakta hai
ye muqaddar hai kisi waqt sanwar sakta hai
ishq kaamil ho to haarij nahin hoti maujen
bahta dariya bhi bila rok Thahar sakta hai
ye karishma bhi mere rab ne dikhaya sab ko
zulm ka dew bila maut bhi mar sakta hai
KHwab ki chhanw mein buzdil hi jiya karte hain
KHwab to KHwab hai ek pal mein bikhar sakta hai
har andhere mein nikal aata hai raushan pahlu
kufr ki aag mein iman sanwar sakta hai
tang-dil yar pe 'muztar' na bharosa karna
waqt ke sath ye wadon se mukar sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.