phul khila de shaKHon par peDon ko phal de malik
phuul khilā de shāḳhoñ par peḌoñ ko phal de mālik
dhartī jitnī pyāsī hai utnā to jal de mālik
kohrā kohrā sardī hai kaañp rahā hai puurā gaañv
din ko taptā sūraj de raat ko kambal de mālik
bailoñ ko ik gaThrī ghaas insānoñ ko do roTī
khetoñ ko bhar gehūñ se kāñdhoñ ko hal de mālik
vaqt baḌā dukh-dā.ik hai paapī hai sansār bahut
nirdhan ko dhanvān banā durbal ko bal de mālik
haath sabhī ke kaale haiñ nazreñ sab kī piilī haiñ
siina Dhāñp dupaTTe se sar ko āñchal de mālik
kal ko aaj se bāñdhe rakh aaj ko kal se joḌe rakh
jab tak khel-tamāsha hai piir ko mañgal de mālik
phul khila de shaKHon par peDon ko phal de malik
dharti jitni pyasi hai utna to jal de malik
kohra kohra sardi hai kanp raha hai pura ganw
din ko tapta suraj de raat ko kambal de malik
bailon ko ek gaThri ghas insanon ko do roTi
kheton ko bhar gehun se kandhon ko hal de malik
waqt baDa dukh-daik hai papi hai sansar bahut
nirdhan ko dhanwan bana durbal ko bal de malik
hath sabhi ke kale hain nazren sab ki pili hain
sina Dhanp dupaTTe se sar ko aanchal de malik
kal ko aaj se bandhe rakh aaj ko kal se joDe rakh
jab tak khel-tamasha hai pir ko mangal de malik
- Book : Khizan Ka Mausam Ruka Hua Hai (Pg. 17)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Educational Publishing House (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.