phul khile hain mausam badla sahra ke viranon ka
phuul khile haiñ mausam badlā sahrā ke vīrānoñ kā
qatra qatra ḳhuun jo Tapkā zaḳhmoñ se dīvānoñ kā
bahal bahal ke ishq meñ nāzuk dil TuuTā dīvānoñ kā
tab kuchh kaam chalā āñkhoñ ke dariyā meñ tūfānoñ kā
ġham kī mai meñ ġham kā qissa ḳhuub chhiḌā afsānoñ kā
dukh meñ dil kā dard hai dohrā dīvāne dīvānoñ kā
farsh kā qissa jiyūñ jiyūñ pahuñchā baam pe saaqī jhuum uThā
kis ne naqsha aisā badlā duniyā ke mai-ḳhānoñ kā
phul khile hain mausam badla sahra ke viranon ka
qatra qatra KHun jo Tapka zaKHmon se diwanon ka
bahal bahal ke ishq mein nazuk dil TuTa diwanon ka
tab kuchh kaam chala aankhon ke dariya mein tufanon ka
gham ki mai mein gham ka qissa KHub chhiDa afsanon ka
dukh mein dil ka dard hai dohra diwane diwanon ka
farsh ka qissa jiyun jiyun pahuncha baam pe saqi jhum uTha
kis ne naqsha aisa badla duniya ke mai-KHanon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.