phul khilte hain talab mein tara hota
phuul khilte haiñ tālāb meñ taarā hotā
koī manzar to mirī aañkh meñ pyārā hotā
ham palaT aa.e masāfat ko mukammal kar ke
aur bhī chalte agar saath tumhārā hotā
ham mohabbat ko samundar kī tarah jānte haiñ
kuud hī jaate agar koī kināra hotā
ek nākām mohabbat hī hameñ kaafī hai
ham dobāra bhī agar karte ḳhasāra hotā
kitnī lahreñ hameñ siine se lagāne ātīñ
koī kankar hī agar jhiil meñ maarā hotā
phul khilte hain talab mein tara hota
koi manzar to meri aankh mein pyara hota
hum palaT aae masafat ko mukammal kar ke
aur bhi chalte agar sath tumhaara hota
hum mohabbat ko samundar ki tarah jaante hain
kud hi jate agar koi kinara hota
ek nakaam mohabbat hi hamein kafi hai
hum dobara bhi agar karte KHasara hota
kitni lahren hamein sine se lagane aatin
koi kankar hi agar jhil mein mara hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.