phul khilte hain to aati hai sada raat gae
phuul khilte haiñ to aatī hai sadā raat ga.e
dil ke āñgan meñ barastī hai ghaTā raat ga.e
apne hāthoñ se hilā kar jinheñ kholā tum ne
un kivāḌoñ se bhī aatī hai havā raat ga.e
jism-e-nāzuk pe chamakte haiñ sitāre kyā kyā
āsmāñ khol ke niklā hai qabā raat ga.e
din ko chaḌhte hue sūraj kā bhī jhelā hai azaab
Dūbte tāroñ kī dekhī hai ziyā raat ga.e
gūñjtī haiñ mire kānoñ meñ sadā.eñ kaisī
kaun kartā hai yahāñ roz duā raat ga.e
kaun rotā hai mire dil ke nihāñ-ḳhāne meñ
kis liye hotī hai ye āh-o-bukā raat ga.e
mujh ko kar detā hai vo mere muqābil 'ajmal'
chhīn letā hai koī merī ridā raat ga.e
phul khilte hain to aati hai sada raat gae
dil ke aangan mein barasti hai ghaTa raat gae
apne hathon se hila kar jinhen khola tum ne
un kiwaDon se bhi aati hai hawa raat gae
jism-e-nazuk pe chamakte hain sitare kya kya
aasman khol ke nikla hai qaba raat gae
din ko chaDhte hue suraj ka bhi jhela hai azab
Dubte taron ki dekhi hai ziya raat gae
gunjti hain mere kanon mein sadaen kaisi
kaun karta hai yahan roz dua raat gae
kaun rota hai mere dil ke nihan-KHane mein
kis liye hoti hai ye aah-o-buka raat gae
mujh ko kar deta hai wo mere muqabil 'ajmal'
chhin leta hai koi meri rida raat gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.