phul khilte hi kaTa shaKH se aur mol bika
phuul khilte hī kaTā shāḳh se aur mol bikā
lutf-e-hastī hai kalī ko gul-e-tar hone tak
safar-e-zīst kī āḳhir hai ġharaz ġhāyat kyā
raaz khultā nahīñ anjām-e-safar hone tak
tū hai āġhosh meñ us kī tujhe ehsās nahīñ
bebasī hai terī murshid kī nazar hone tak
yā ḳhudā kar na mujhe kaif-e-duā se mahrūm
ki duā.eñ haiñ duāoñ kā asar hone tak
par-e-parvāz nikal aa.e jūñhī nīche girā
aadam afsurda rahā ḳhuld-badar hone tak
jaag uThe to kahāñ ālam-e-nairañg-e-ḳhayāl
tābish-e-mahfil-e-anjum hai sahar hone tak
phul khilte hi kaTa shaKH se aur mol bika
lutf-e-hasti hai kali ko gul-e-tar hone tak
safar-e-zist ki aaKHir hai gharaz ghayat kya
raaz khulta nahin anjam-e-safar hone tak
tu hai aaghosh mein us ki tujhe ehsas nahin
bebasi hai teri murshid ki nazar hone tak
ya KHuda kar na mujhe kaif-e-dua se mahrum
ki duaen hain duaon ka asar hone tak
par-e-parwaz nikal aae junhi niche gira
aadam afsurda raha KHuld-badar hone tak
jag uThe to kahan aalam-e-nairang-e-KHayal
tabish-e-mahfil-e-anjum hai sahar hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.