phul KHushbu chand jugnu aur sitare aa gae
phuul ḳhushbū chāñd jugnū aur sitāre aa ga.e
aap kyā aa.e ḳhushī ke isti.āre aa ga.e
yaas ke gahre samundar se nikalnā thā muhāl
aap ne chāhā umīdoñ ke kināre aa ga.e
apnī saarī nekiyāñ un ke havāle ho ga.iiñ
un ke sab ilzām lekin sar hamāre aa ga.e
band apnā dar kiyā jab ik amīr-e-shahr ne
merī ḳhātir mere maulā ke sahāre aa ga.e
television dekh kar hone lage bachche javān
sātvīñ meñ un ko bhī bāliġh ishāre aa ga.e
bhar ga.ī haiñ jholiyāñ dil kī murādoñ se 'munīr'
un ke dar pe jab kabhī dāman pasāre aa ga.e
phul KHushbu chand jugnu aur sitare aa gae
aap kya aae KHushi ke istiare aa gae
yas ke gahre samundar se nikalna tha muhaal
aap ne chaha umidon ke kinare aa gae
apni sari nekiyan un ke hawale ho gain
un ke sab ilzam lekin sar hamare aa gae
band apna dar kiya jab ek amir-e-shahr ne
meri KHatir mere maula ke sahaare aa gae
telewision dekh kar hone lage bachche jawan
satwin mein un ko bhi baaligh ishaare aa gae
bhar gai hain jholiyan dil ki muradon se 'munir'
un ke dar pe jab kabhi daman pasare aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.