phul KHushbu chandni mahtab wo
phuul ḳhushbū chāñdnī mahtāb vo
par mirī ḳhātir hai koī ḳhvāb vo
apnī apnī uljhanoñ meñ yaar gum
ab kahāñ hai halqa-e-ahbāb vo
is qadar betāb āḳhir kis liye
ye nahīñ hai ai dil-e-be-tāb vo
bujh gayā kuchh dil bhī ab ke hijr meñ
aur chehre par kahāñ hai taab vo
ek sahrā kī tarah maiñ tishna-lab
ek naddī kī tarah sairāb vo
dushman-e-jāñ hai magar achchhā lagā
jāntā hai kuchh adab ādāb vo
jāgne kā kaam mujh ko sauñp kar
dekhtā rahtā hai mere ḳhvāb vo
maiñ huuñ arzāñ sāhiloñ kī ret sā
aur koī gauhar-e-nāyāb vo
duur tak 'fārūq' taptī ret hai
ab yahāñ aate nahīñ sailāb vo
phul KHushbu chandni mahtab wo
par meri KHatir hai koi KHwab wo
apni apni uljhanon mein yar gum
ab kahan hai halqa-e-ahbab wo
is qadar betab aaKHir kis liye
ye nahin hai ai dil-e-be-tab wo
bujh gaya kuchh dil bhi ab ke hijr mein
aur chehre par kahan hai tab wo
ek sahra ki tarah main tishna-lab
ek naddi ki tarah sairab wo
dushman-e-jaan hai magar achchha laga
jaanta hai kuchh adab aadab wo
jagne ka kaam mujh ko saunp kar
dekhta rahta hai mere KHwab wo
main hun arzan sahilon ki ret sa
aur koi gauhar-e-nayab wo
dur tak 'faruq' tapti ret hai
ab yahan aate nahin sailab wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.