phuul ḳhushbū se jaḌe rahte haiñ
yuuñ tire saath khaḌe rahte haiñ
raat hote hī tirī yaad meñ gum
ek kone meñ paḌe rahte haiñ
hasrateñ aur bhī haiñ apnī magar
ham faqat tujh pe aḌe rahte haiñ
TuuT jaa.e na kahīñ zabt mirā
ishq ke ghaat baḌe rahte haiñ
qad hamāre hoñ agar chhoTe bhī
dhuup meñ saa.e baḌe rahte haiñ
dekh kar 'shoḳh' hameñ saath sabhī
jaane kyoñ log saḌe rahte haiñ
phul KHushbu se jaDe rahte hain
yun tere sath khaDe rahte hain
raat hote hi teri yaad mein gum
ek kone mein paDe rahte hain
hasraten aur bhi hain apni magar
hum faqat tujh pe aDe rahte hain
TuT jae na kahin zabt mera
ishq ke ghat baDe rahte hain
qad hamare hon agar chhoTe bhi
dhup mein sae baDe rahte hain
dekh kar 'shoKH' hamein sath sabhi
jaane kyon log saDe rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.