phul KHushbu sham sawan shaghl-e-paimana chale
phuul ḳhushbū shaam sāvan shaġhl-e-paimāna chale
jis ko chalnā hai hamāre saath mai-ḳhāna chale
yuuñ chale lahrā ke jaise mauj bal khaa.ī huī
yā sahāb-e-mast jaise chaal mastāna chale
zulf sumbul phuul lab ruḳhsār par rañg-e-shafaq
juñbisheñ āñkhoñ kī palkoñ meñ ki paimāna chale
us se kah do pattharoñ ke but meñ Dhal jā.eñge sab
ab na ye jādu-e-chashm-e-mai-e-faroshāna chale
shukriya ahbāb kā jin kī mohabbat ke tufail
mujh se kuchh aage hī aage merā afsāna chale
is galī meñ 'mīr' kā ham-sar na aayā phir 'shamīm'
vo jo qātil ko duā de kar faqīrāna chale
phul KHushbu sham sawan shaghl-e-paimana chale
jis ko chalna hai hamare sath mai-KHana chale
yun chale lahra ke jaise mauj bal khai hui
ya sahab-e-mast jaise chaal mastana chale
zulf sumbul phul lab ruKHsar par rang-e-shafaq
junbishen aankhon ki palkon mein ki paimana chale
us se kah do pattharon ke but mein Dhal jaenge sab
ab na ye jadu-e-chashm-e-mai-e-faroshana chale
shukriya ahbab ka jin ki mohabbat ke tufail
mujh se kuchh aage hi aage mera afsana chale
is gali mein 'mir' ka ham-sar na aaya phir 'shamim'
wo jo qatil ko dua de kar faqirana chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.