phul kuchh aur khilaenge tum aao to sahi
phuul kuchh aur khilā.enge tum aao to sahī
apnī palkoñ pe biThā.eñge tum aao to sahī
dost dushman kī bhī ho jā.egī pahchān abhī
aa.ina aisā dikhā.eñge tum aao to sahī
apnī nākām mohabbat kī rifāqat ke liye
pyaar ke diip jalā.eñge tum aao to sahī
dushmanī ham se karo bhī to koī baat nahīñ
dostī phir bhī nibhā.eñge tum aao to sahī
qatl-gāhoñ se guzar paa.e na mazlūm koī
ham ye āvāz uThā.eñge tum aao to sahī
is qadar duur 'ziyā' jāoge ma.alūm na thā
qissa-e-dard sunā.eñge tum aao to sahī
phul kuchh aur khilaenge tum aao to sahi
apni palkon pe biThaenge tum aao to sahi
dost dushman ki bhi ho jaegi pahchan abhi
aaina aisa dikhaenge tum aao to sahi
apni nakaam mohabbat ki rifaqat ke liye
pyar ke dip jalaenge tum aao to sahi
dushmani hum se karo bhi to koi baat nahin
dosti phir bhi nibhaenge tum aao to sahi
qatl-gahon se guzar pae na mazlum koi
hum ye aawaz uThaenge tum aao to sahi
is qadar dur 'ziya' jaoge malum na tha
qissa-e-dard sunaenge tum aao to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.